Sunday 23 March 2014

Yaad karne se didar nahi hota,
yuhi kisi ko yaad karna pyar nahi hota,
yaado me kisi ki hum bhi tadapte hai,
bas hamse dard ka ijhar nahi hota.

Friday 21 March 2014

Jab dosti ki daastaan waqt sunayega,
 humko bhi koi shakhs yaad aayega,
tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko,
jab aapke saath guzara waqt yaad aayega.

Thursday 20 March 2014

Dosti ki taarif zuban par aane lagi,
tumse dosti ki aur zindagi muskurane lagi,
yeh dosti thi ya teri achhai,
 ke har saans se teri liye dua aane lagi.

Tuesday 18 March 2014

Kab unki palko se izhaar hoga,
 dil ke kisi kone mein mere liye pyar hoga,
 guzarti hai raat unki yaad mein,
 kabhi to unko mera intezaar hoga.
Kahe na kahe wo mohabbat rahegi,
 dil mein unse milne ki chaahat rahegi.
Wo kya jane kitna marte hain unpar,
 hamari rooh ko bhi unki aadat rahegi.!♥
Kab unki palko se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein mere liye pyar hoga,
 guzarti hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko mera intezaar hoga.
By~shayriismylife.blogspot.com
Kash khushiyon ki koi dukaan hoti,
 aur hamein uski pehchan hoti.¡
Khareed lete hum har khushi tumhare liye,qeemat chahe unki hamari jaan hoti.!♥z

Monday 17 March 2014

Koi pyar kehta hai koi mohabbat kehta hai,
aur kuchh log bandgi kehte hain,
magar jis-se hum pyar karte hain,
usey hum apni zindagi kehte hain.!♥
Muskurahat tumhi se milti hai,
dard mein raahat tumhi se milti hai,
tum mat ruthna mujhse kabhi,
kyonki jeene ki chaahat tumhi se milti hai.!♥
Pyar mein maut se darta kaun hai,
pyar ho jata hai karta kaun hai,
aap jaise yaar par duniya kurbaan,
aap puchhte ho ki hum par marta kaun hai!♥
Pyar shabd nahin jo kaha jaye,
 ruh nahin jo mit jaye,
 safar nahin jo mukaam paye.
Ye to wo ehsaas hai, jiske liye zindagi ko dil se jiya jaye!♥
Pyar to zindagi ka afsana hai,
 iska apna hi ek tarana hai.
Pata hai sabko milenge sirf aansu,
 phir bhi na jane kyun har koi iska deewana hai.!♥
Sabne kaha dosti dard hai,
humne kaha dard kabool hai.
Sabne kaha dard ke saath jee na paoge,
 humne kaha teri dosti ke saath marna kabool hai. ,!♥
Tamanna-e-ishq to hum bhi rakhte hai,
kisi ke dil mein hum bhi dhadakte hain,
na jaane humein wo kab milenge,
 jiske liye hum roz tadapte hain. .,!
Teri palkon pe khwaab rakh gaya koi,
teri saanso pe naam likh gaya koi,
vaada raha tumse bhool jana humein,
agar humse achha tumhe mil gaya koi.,!
Tumhari dosti aur wafa hi kafi hai,
 tamaam umar ye aasra hi kafi hai,
 jahan milo bus milke muskura dena,
 jeene ke liye ye aasra hi kafi hai.
Tumhari is adaa ka kya jawab dun,
apne dost ko kya uphaar dun,
 koi achha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulaab dun.
By~faizal khan
Waqt ke dayere se hum nikal na jaye,
aapke dil se kahin hum utar na jaye,
hum roz aapko yaad dilaya karenge,
warna kahin aap humein bhool na jaye
By~faizal khan
Wo kehte hain ki agar naseeb mein hua to hum unhe zaroor payenge,
hum puchhte hain unse,
agar hum badnaseeb hue to unke bin kaise ji payenge.
By~faizal khan
Zarurat nahi alfaaz ki,
pyar to cheez hai bas ehsaas ki.
 Paas hote tum to manzar hi kya hota,
door se hi khabar hai mujhe teri har saans ki.
By~faizal khan
Zindagi nahi hamein dosto se pyari,
dosto pe haazir hai jaan hamari.
Aankho me hamari aansu hain to kya,
jaan se bhi pyari hai muskaan tumhari.
By~faizal khan
Na khicho itna ki dor toot jaye,
na satao itna ki sanam rooth jaye,
ab to had ho chuki roothne manane ki,
na door jao itna ki saath chhut jaye.
By~faizal khan
Zindagi se sabhi ko mohabbat hai,
par zindagi kisi ki mehboob nahi banti,
 tamanna leker jeete hain sab,
magar har tamanna taqdeer nahi banti.
By~faizal khan
Raat guzri phir mehekti subah aayi,
 dil dhadka phirtumhari yaad aayi.
Mere jism ne mehsoos kiya uss hawa ko,
jo tumhe chhukar mere paas aayi.
by~faizal khan
Raaste badal jate hain,
insan badal jate hain,
 sochte hain tumhe itna yaad na karein,
 lekin aankhein band karte hi iraade badal jate hain.
By~faizal khan
Bahut mushkil mein hun,
 main kaise izhaar karun,
tu to khushboo hai tujhe kaise giraftaar karun.
 Dua hai ki har janam,
 main bas tujhse hi pyar karun.
By~faizal khan
Jab tanhaai ne unko sataya hoga,
tab unko mera khayaal aaya hoga.
Gila ye nahi ke vo bhool gaye humko,
 gila ye hai ki ro-ro kar bhulaya hoga.
by~faizal khan
Kab unki palko se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein mere liye pyar hoga,
 guzarti hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko mera intezaar hoga.
by~faizal khan

Ruk gayi sans ab maut aayi hai,
 zindgani se hamne bhi maat khayi hai,
 tere hi naam par fareb mile,
 mere malik ab bas teri hi duhai hai.
By~faizal khan
Yaad karne se didar nahi hota,
yuhi kisi ko yaad karna pyar nahi hota,
yaado me kisi ki hum bhi tadapte hai,
bas hamse dard ka ijhar nahi hota.
By~faizal khan