Best hindi shayriyaaa!♥
Thursday 18 December 2014
Wo pass hi na aye to izhar kya karte,Khud
bane nishana to shikar kya karte
Marne pe b khuli rahe ankhe,
Isse jyada kisi ka intezar kya karte,
Wednesday 1 October 2014
Khwabon mein tum aate jaate ho,
har sapna ab sachha lagta hai.
Har nazm mein aawaz tumhari aati hain,
har nagma ab is dil ko achha lagta hai.
Saturday 12 April 2014
Kalam uthaai hai lafz nahi milta,
jisko dhundhte hain wo shakhs nahi milta,
firte hain wo zamane ki talash mein,
bas humare liye unhe waqt nahi milta.
Sunday 23 March 2014
Yaad karne se didar nahi hota,
yuhi kisi ko yaad karna pyar nahi hota,
yaado me kisi ki hum bhi tadapte hai,
bas hamse dard ka ijhar nahi hota.
Friday 21 March 2014
Jab dosti ki daastaan waqt sunayega,
humko bhi koi shakhs yaad aayega,
tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko,
jab aapke saath guzara waqt yaad aayega.
Thursday 20 March 2014
Dosti ki taarif zuban par aane lagi,
tumse dosti ki aur zindagi muskurane lagi,
yeh dosti thi ya teri achhai,
ke har saans se teri liye dua aane lagi.
Tuesday 18 March 2014
Kab unki palko se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein mere liye pyar hoga,
guzarti hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko mera intezaar hoga.
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)